Mazdoor
By Vedanta Krishna · May 12, 2026
Aaj fir kalam uthaya hai, Andar ke kavi ko jagaya hai, Kuch khaas likhne ki icha hai, Likhne ka karan bani ye icha hai, Likh dun kuch neeraj sa, Ya ban jaaun gulzar ki chavi Chura lun kuch Whitman ka Ya uthaon kuch agyeya-keats ki vocabulary Mein toh ek majdoor hun Kaviyon jitna dard nahi rakhta Bhaari hoti hai zindagi Mein bhaar ko zyada samay saath nahi rakhta Bhaar kam karne ko kavita padta hun Man behla kar, fir apne kaam mein lagta hun Kavita jaisi bhi likhoon, Kaam ache se karta hun Man lagta hai zindagi mein roz, Kabhi nahi lagta toh kavita sangrah uthata hun Apne iss man ko Kabhi hastmalak karvaan toh kabhi shesh gubaar ki kavita sunata hun, Sun kar kavita fir kaam mein lagta hun Mein toh ek majdoor hun Apne kaam se kaam rakhta hun Kabhhi aadhi choot jaat hai kavita Kabhi rhyme toot jaata hai Kabhi shabd galat hota hai Par gam nahi uska mujhe toh, Mein nahi likhta inhe, ye khud khudko likhti hain, Mein toh ek mazdoor hoon janab, kaviyon jitna gam nahi rakhta